WhatsApp Join Naat Group

ग़म के मारो को हंसाना भी नबी की नात है / Gham ke maaro ko hasana bhi Nabi ki Naat hai

ग़म के मारो को हंसाना भी नबी की नात है
गिरने वालों को उठाना भी नबी की नात है

सिर्फ जलसों तक ना रखो उनसे इज़हारे-वफ़ा
मस्जिदों में आना जाना भी नबी की नात है

भेद मत खोलो किसी के तुम किसी के सामने
ऐ़ब मोमिन के छुपाना भी नबी की नात है

क़ौम में जब इल्म आएगा तो खु़श होंगे रसूल
पढ़ना लिखना और पढ़ाना भी नबी की नात है

सब गु़लामाने-नबी अपनाए ये सुन्नत शरीअ़
चेहरे पर दाढ़ी सजाना भी नबी की नाते है

हो सदा फि़तरत में अहसासे-ह़या ऐ बेटियों
आपका पर्दे में आना भी नबी की नात है

मुत्ताहिद हो कर करें हम वक़्त के ज़ालिम का रद
जंग के मैदां में आना भी नबी की नात है

कह रहा है ये ज़बाने-हा़ल से इश्क़े-बिलाल
ज़ख्म खाकर मुस्कुराना भी नबी की नात हैं

बोला किरदारे -उमर इश्क़े-नबी में झूम कर
बे-अदब का सर उड़ाना भी नबी की नात है

याद के अश्कों में मैं कहता हूँ मुद्दआ-ए हुज़ूर
इश्क़ में आँसू बहाना भी नबी की नात है

सारा मंज़र कह रहा है ख़ाक से अफलाक़ तक
जश्ने-अह़मद का मनाना भी नबी की नात है

लाख मुश्किल हों मगर सच्चाई पर का़यम रहो
हक़ पर अपना दिल जमाना भी नबी की नात है

लिख अमल से ऐ फरीदी तू क़लम के साथ-साथ
ये अदा हस्ती में लाना भी नबी की नात है

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत राशिद रजा़ मरकजी़

Gham ke maaro ko hasana bhi Nabi ki Naat hai
Girne waalo ko uthana bhi Nabi ki Naat hai

Sirf jalso tak na rakho unse izhaare-wafa
Masjidon mein aana jaana bhi Nabi ki Naat hai

Bhed mat kholo kisi ke tum kisi ke saamne
Aib momin ke chhupaana bhi Nabi ki Naat hai

Qaum mein jab ilm aayega to khush honge Rasool
Padhna likhna aur padhana bhi Nabi ki Naat hai

Sab ghulamane-Nabi apnayen ye sunnat sharia
Chehre par daadhi sajaana bhi Nabi ki Naat hai

Ho sada fitrat mein ehsaase-haya aye betiyon
Aapka parde mein aana bhi Nabi ki Naat hai

Muttahid ho kar karein hum waqt ke zaalim ka rad
Jang ke maidan mein aana bhi Nabi ki Naat hai

Keh raha hai ye zabaane-haal se ishqe-Bilal
Zakhm khaakar muskurana bhi Nabi ki Naat hai

Bola kirdare-Umar ishqe-Nabi mein jhoom kar
Be-adab ka sar udaana bhi Nabi ki Naat hai

Yaad ke ashkon mein main kehta hoon mudda-e-Huzoor
Ishq mein aansu bahaana bhi Nabi ki Naat hai

Saara manzar keh raha hai khaak se aflaak tak
Jashne-Ahmed ka manana bhi Nabi ki Naat hai

Lakh mushkil hoon magar sacchai par qayam raho
Haq par apna dil jamaana bhi Nabi ki Naat hai

Likh amal se ae Fareedi tu qalam ke saath-saath
Ye ada hasti mein laana bhi Nabi ki Naat hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Rashid Raza Markazi