WhatsApp Join Naat Group

दरिया हुसैन का है समंदर हुसैन का / Dariya Husain Ka Hai Samandar Husain Ka By Zainul Abideen Kanpuri

है आरज़ू वहां भी मिले दर हुसैन का
जन्नत में बन के जाऊँ मैं नौकर हुसैन का

दरिया हुसैन का है समंदर हुसैन का
प्यासों के वास्ते है ये लंगर हुसैन का

सूरज ने अपने सर को अदब से झुका लिया
नेज़े पे जब बलंद हुआ सर हुसैन का

सब जानते हैं कितने बहादुर हुसैन हैं
मौला अ़ली के हाथ का ख़ंजर हुसैन हैं

राहे-ख़ुदा में घर दिया और सर भी दे दिया
अब सोचिए कि कितने दिलावर हुसैन हैं

कोई यज़ीद कैसे भला सर उठाएगा
मौजूद रब के फ़ज़्ल से घर घर हुसैन हैं

चौदह सौ साल पहले गया था जो क़ाफ़िला
उस क़ाफ़िले के आज भी रहबर हुसैन हैं

ज़हरा के घर में लाल-ओ-जवाहिर हैं बेशुमार
जो सब से क़ीमती है वो गौहर हुसैन हैं

उस का भी हश्र होगा यज़ीदों के साथ साथ
जिस ने कहा कि मेरे बराबर हुसैन हैं

इब्ने-ज़ियाद का तो वहीं दम निकल गया
हुर्र ने कहा जो मेरा मुक़द्दर हुसैन हैं

ना’त-ख़्वां:
हज़रत ज़ैनुल आबिदीन कानपुरी

Hai aarzoo wahan bhi mile dar Hussain ka
Jannat mein ban ke jaaun main naukar Hussain ka

Dariya Husain Ka Hai Samandar Husain Ka
Pyason ke waaste hai yeh langar Hussain ka

Sooraj ne apne sar ko adab se jhuka liya
Neze pe jab buland hua sar Hussain ka

Sab jaante hain kitne bahadur Hussain hain
Maula Ali ke haath ka khanjar Hussain hain

Raah-e-Khuda mein ghar diya aur sar bhi de diya
Ab sochiye ki kitne dilawar Hussain hain

Koi Yazid kaise bhala sar uthayega
Maujood Rab ke fazl se ghar ghar Hussain hain

Chaudah sau saal pehle gaya tha jo qafila
Us qafile ke aaj bhi rehbar Hussain hain

Zahra ke ghar mein laal-o-jawahir hain beshumar
Jo sab se qeemati hai woh gauhar Hussain hain

Us ka bhi hashr hoga Yazidon ke saath saath
Jis ne kaha ki mere barabar Hussain hain

Ibne-Ziyaad ka to wahi dam nikal gaya
Hurr ne kaha jo mera muqaddar Hussain hain

Na’At-Khwan:
Hazrat Zainul Abideen Kanpuri