WhatsApp Join Naat Group

दरबारे-मुस्त़फा़ के जो दरबान हो गए / Darbare-Mustafa ke jo darbaan ho gaye | Woh log kaaenaat ke sulatan ho gaye

दरबारे-मुस्त़फा़ के जो दरबान हो गए
वो: लोग काएनात के सुल्तान हो गए

जन्नत खड़ी है लेने को आगोश में उन्हें
जो भी रसूले-पाक पे कु़र्बान हो गए

नज्दी से कहदो हम पे ना डाले बुरी नज़र
के, अह़मद रज़ा हमारे निगेहबान हो गए

खा़के-दरे-रसूल को जिसने भी मल लिया
उस पर सितारे, चाँद भी कु़र्बान हो गए

रू-ए-नबी पे जिस घड़ी उनकी नज़र पड़ी
आए थे क़त्ल करने मुसलमान हो गए

कोई किसी के पीछे किसी का कोई इमाम
हम मुक़तदी-ए-हजरते हस्सान हो गए

सज्जाद ये निगाहे-नबूव्वत का फ़ैज़ था
ख़्वाजा पिया जो हिंद के सुल्ता़न हो गए

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मरह़ूम सज्जाद निज़ामी

Darbare-Mustafa ke jo darbaan ho gaye
Woh log kaaenaat ke sulatan ho gaye

Jannat khadi hai lene ko aagosh mein unhein
Jo bhi Rasoole-Pak pe qurban ho gaye

Najdi se kehdo ham pe na daale buri nazar
Ke, Ahmad Raza hamare nigehban ho gaye

Khaake-dare-Rasool ko jisne bhi mal liya
Us par sitare, chaand bhi qurban ho gaye

Roo-e-Nabi pe jis ghadi unki nazar padi
Aaye the qatal karne, Musalman ho gaye

Koi kisi ke peeche kisi ka koi imam
Ham muqtadi-e-Hazrate Hassan ho gaye

Sajjad ye nigaahe-Nubuwwat ka faiz tha
Khwaja Piya jo Hind ke sultaan ho gaye

Na’at-Khwan:
Hazrat Marhoom Sajjad Nizami