WhatsApp Join Naat Group

भूखा भी रहा प्यासा भी रहा घर बार अ़ली के बेटों का / Bhukha Bhi Raha Pyasa Bhi Raha Ghar Baar Ali Ke Beton Ka

भूखा भी रहा प्यासा भी रहा घर बार अ़ली के बेटों का,
फिर भी था यज़ीदी बैयत से इनकार अ़ली के बेटों का

कहता है यही हर एक आ़शिक़ बीमार अ़ली के बेटों का
दिखला दे मुझे ऐ मेरे खु़दा दरबार अ़ली के बेटों का

इस्लाम की खा़तिर कर्बल में घर बार भी अपना वार दिया
ता ह़श्र करेंगे याद सभी एसार अली के बेटों का

करते हैं जहाॅं वाले नफ़रत हर एक यज़ीदी से लेकिन
रखता है अक़ीदत सीने में संसार अ़ली के बेटों का

बू-बकरो, उ़मर, उस्मानो, अ़ली ता’ज़ीम के लाइक़ हैं ये सभी
आशिक़ हूॅं सहाबा का, दिल में है प्यार अली के बेटों का

मंज़ूर खुदा-ए-पाक को था कुछ और ही वरना ऐ दानिश
सह पाते यज़ीदी कुत्ते ना एक वार अ़ली के बेटों का

ना’त-ख्वां:
ह़ज़रत मेहताब दानिश

Bhukha Bhi Raha Pyasa Bhi Raha Ghar Baar Ali Ke Beton Ka,
Phir Bhi Tha Yazeedi Baiyat Se Inkaar Ali Ke Beton Ka

Kehta Hai Yahi Har Ek Aashiq Beemar Ali Ke Beton Ka
Dikhla De Mujhe Ai Mere Khuda Darbaar Ali Ke Beton Ka

Islam Ki Khaatir Karbal Mein Ghar Baar Bhi Apna Vaar Diya
Ta Hashr Karenge Yaad Sabhi Esaar Ali Ke Beton Ka

Karte Hain Jahaan Waale Nafrat Har Ek Yazeedi Se Lekin
Rakhta Hai Aqeeda Seene Mein Sansaar Ali Ke Beton Ka

Bu-Bakro, Umar, Usmano, Ali Ta’azeem Ke Laaiq Hain Ye Sabhi
Aashiq Hun Sahaba Ka, Dil Mein Hai Pyaar Ali Ke Beton Ka

Manzoor Khuda-e-Paak Ko Tha Kuch Aur Hi Warna Ai Danish
Sah Paate Yazidi Kutte Na Ek Vaar Ali Ke Beton Ka

Na’at-Khwan:
Hazrat Mehtab Danish