WhatsApp Join Naat Group

ग़म के मारो चलो बे-सहारो चलो | Gham ke maaro chalo be-sahaaro chalo | Be-kason ka sahara Bareilly mein hai

ग़म के मारो चलो बे-सहारो चलो
बे-कसों का सहारा बरैली में है
एक आ़लम मुनव्वर है जिस ज़ात से
हां वही माह पारा बरैली में है

का़दरी आस्मां के दरख़्शां का मैं
आ़ला ह़ज़रत के नामी गिरामी पिसर
जल्वा-ए-ग़ौस आता था जिस में नज़र
वो: रज़ा का दुलारा बरैली में है

जिससे है अहले-सुन्नत की खेती हरी
जिसको कहते हैं अख़्तर रज़ा अज़हरी
वारिसे-इ़ल्मे-अह़मद रज़ा जो बना
फ़ख़्रे-अज़हर हमारा बरैली में है

गु़स्ले-का’बा का जिसको शरफ़ है मिला
फ़ख़्रे-अज़हर का जिसको लक़ब है मिला
अहले-सुन्नत को जिस पर बहुत नाज़ है
ऐसा मुर्शिद हमारा बरैली में है

डूबने वालो ज़ुल्मत के तूफ़ान में
मुफ़्ती-ए-आ़ज़मे-हिन्द का नाम लो
नूर वाला बनाएंगे नूरी मियां
नूर का एक मिनारा बरैली में है

जल्वा-गर हैं जहां शाह अह़मद रज़ा
मुफ़्ती-ए-आ़ज़मे-हिन्द अख़्तर रज़ा
गौर से देखिये तो नज़र आएगा
चांद, सूरज, सितारा, बरैली में है

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मुह़म्मद अ़ली फ़ैजी़

Gham ke maaro chalo be-sahaaro chalo
Be-kason ka sahara Bareilly mein hai
Ek aalam munawwar hai jis zaat se
Haan wahi maah paara Bareilly mein hai

Qadri aasmaan ke darakhshan ka main
A’ala Hazrat ke naami giraami pisar
Jalwa-e-Gaus aata tha jis mein nazar
Woh Raza ka dulaara Bareilly mein hai

Jisse hai Ahle-Sunnat ki kheti hari
Jisko kehte hain Akhtar Raza Azhari
Warise-ilme-Ahmad Raza jo bana
Fakhre-Azhar hamara Bareilly mein hai

Gusle-Ka’ba ka jisko sharaf hai mila
Fakhre-Azhar ka jisko laqab hai mila
Ahle-Sunnat ko jis par bahut naaz hai
Aisa murshid hamara Bareilly mein hai

Doobne waalo zulmat ke toofan mein
Mufti-e-Azame-Hind ka naam lo
Noor waala banayenge Noori Miyan
Noor ka ek minaara Bareilly mein hai

Jalwa-gar hain jahaan Shah Ahmad Raza
Mufti-e-Azame-Hind Akhtar Raza
Gaur se dekhiye to nazar aayega
Chaand, Suraj, sitara, Bareilly mein hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faiz