WhatsApp logo Join Naat Group

बड़ी ही ख़ौफ़ की लहरें थी बे-कारों के झुरमुट में, | Badi hi khauf ki lehren thi be-karon ke jhurmuth mein, tazmeem – Woh yun tashreef laaye ham gunahgaaron ke jhurmuth mein

बड़ी ही ख़ौफ़ की लहरें थी बे-कारों के झुरमुट में
बड़ी बेचैनियां थीं हम सिनाकारो के झुरमुट में
तसल्ली आ गई उस दम ख़ताकारो के झुरमुट में
वो: यूं तशरीफ लाए हम गुनहगारों के झुरमुट में
मसीहा जैसे आ जाता है बीमारो के झुरमुट में

नज़र आती नहीं है कोई सूरत हमको राहत की
बहुत झुलसा रही है जिस्म को गर्मी क़यामत की
सरो पर तान दीजिए अब तो चादर अपनी रहमत की
मदद फरमाइये आक़ा परेशां हाल उम्मत की
के शोरे-अलमदद बरपा है बे-चारों के झुरमुट में

अजब दौरे-जिहालत है, अजब ये दौरे-नफरत है
बड़ी सहमी हुई सी हक़ परस्तों की ज़माअत हैं
बड़े ज़ालिम है हाकिम, और बड़ी ज़ालिम हुकूमत है
हुसैन इब्ने-अली की आज भी हमको ज़रूरत है
घिरा है आज भी इस्लाम खूंखारो के झुरमुट में

जिन्हें बश्शम्स कु़रआं कह रहा है हां वो: शाहे-दीन
वोः जिनकी ज़ुल्फ-ए-वल्लैल हैं जो धूप में तसकीन
उन्हीं का हुस्ने-दिल आरा उन्हीं का हुस्न है नमकीन
उन्हीं का अक्स रुख जलवा फिगन है वरना ऐं तहसीन
चमक ऐसी कहा से आ गई तारों के झुरमुट में

ना’त-ख़्वां:
हज़रत ग़ुलाम गौ़स ग़ज़ाली

Badi hi khauf ki lehren thi be-karon ke jhurmuth mein
Badi bechainiyan thi ham sinakaron ke jhurmuth mein
Tasalli aa gayi us dam khatakaron ke jhurmuth mein
Woh yun tashreef laaye ham gunahgaaron ke jhurmuth mein
Maseeha jaise aa jaata hai beemaron ke jhurmuth mein

Nazar aati nahi hai koi soorat humko raahat ki
Bahut jhulsaa rahi hai jism ko garmi qayaamat ki
Saron par taan dijiye ab to chaadar apni rahmat ki
Madad farmaiye aaqa pareshaan haal ummat ki
Ke shore-almadad barpa hai be-charon ke jhurmuth mein

Ajab daure-jihalat hai, ajab ye daure-nafrat hai
Badi sehmi huyi si haq paraston ki jama’At hai
Bade zaalim hain hakim, aur badi zaalim hukumat hai
Husain Ibne-Ali ki aaj bhi humko zaroorat hai
Ghira hai aaj bhi Islam khunkharon ke jhurmuth mein

Jinhein Bashshams Quran keh raha hai haan woh Shahe-Deen
Wo jinki zulf-e-wallail hain jo dhoop mein taskeen
Unhi ka husne-dil aara unhi ka husn hai namkeen
Unhi ka aks rukh jalwa figan hai warna ain tahseen
Chamak aisi kahaan se aa gayi taron ke jhurmuth mein

Na’at-Khwan:
Hazrat Gulam Gaus Ghazali