WhatsApp Join Naat Group

बरसेगा करम देखना तुम अरशे-बरी से / Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se | Barsega karam dekhna tum arshe-bari se

बरसेगा करम देखना तुम अरशे-बरी से,
आया है बुलावा मुझे कर्बल की ज़मी से

मैं मौला अ़ली फा़ति़मा ज़हरा का पिसर हूॅं
हर दुश्मने-दीं के लिए एक शेरे-बबर हूॅं
इस बात का ऐ’लान करूंगा में वहीं से
आया है बुलावा मुझे कर्बला की ज़मीं से

नाना है मेरे नबियों के सरदार समझ ले
और खु़ल्द के हैं मालिको-मुख़्तार समझ ले
कह दे ये कोई जाके ज़रा शिमरे-लईं से
आया है बुलावा मुझे कर्बल की ज़मीं से

मैं वो: हूॅं जिसे चूमते रहते थे शहे-दीं
इतना ही नहीं सूंघते रहते थे शहे-दीं
जोड़ा मेरा मंगवाया गया खु़ल्दे-बरी से
आया है बुलावा मुझे कर्बल की ज़मीं से

शब्बीर तुम्हें दीन की अ़ज़मत है बचाना
सर अपना तुम्हें राहे-खु़दा में है कटाना
पैगा़म मिला है यही जिब्रीले-अमीं से
आया है बुलावा मुझे दरबार नबी से

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ज़ाकिर रज़ा इस्माइली

Barsega karam dekhna tum arshe-bari se,
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Main Maula Ali Fatima Zahra ka pisar hun
Har dushmane-deen ke liye ek shere-babar hun
Is baat ka ailaan karunga main wahin se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Naana hai mere nabiyon ke sardaar samajh le
Aur khuld ke hain maaliko-mukhtar samajh le
Keh de ye koi jaake zara Shimre-laeen se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Main woh hun jise chhumte rehte the shahe-deen
Itna hi nahin sunghte rehte the shahe-deen
Joda mera mangWaya gaya khulde-bari se
Aaya hai bulaawa mujhe Karbal ki zameen se

Shabbir tumhein deen ki azmat hai bachana
Sar apna tumhein raahe-khuda mein hai katana
PaiGhaam mila hai yahi Jibraeele-ameen se
Aaya hai bulaawa mujhe darbar e Nabi se

Na’at-Khwan:
Hazrat Zakir Raza Ismaili