WhatsApp Join Naat Group

आज ही अपने रब को मनालो | ज़िंदगी का भरोसा नहीं है / Aaj Hi Apne Rab Ko ManaLo | Zindagi Ka Bharosa Nahin Hai | by azmat raza bhagalpuri


आज ही अपने रब को मनालो,
ज़िंदगी का भरोसा नहीं है,
नार-ए-दोज़ख़ से ख़ुद को बचालो
ज़िंदगी का भरोसा नहीं है

चाँदनी चार दिन की है लोगो
येह जवानी भी फ़ानी है सुनलो
आख़िरत अपनी अच्छी बनालो
ज़िंदगी का भरोसा नहीं है

आज ही अपने रब को मनालो,
ज़िंदगी का भरोसा नहीं है,
नार-ए-दोज़ख़ से ख़ुद को बचालो
ज़िंदगी का भरोसा नहीं है

क़ब्र में जा के रोना पड़ेगा
ख़ाक पर तुमको सोना पड़ेगा
मौत से पहले ख़ुद को सँभालो
ज़िंदगी का भरोसा नहीं है

चाहिए गर नबी की शफ़ा’अत
मत करो फिर नबी की इहानत
उन-की उल्फ़त दिलों में बसालो
ज़िंदगी का भरोसा नहीं है

ना’त-ख़्वाँ:
हज़रत अज़मत रज़ा भागलपुरी


aaj hi apne rab ko manalo,
zindagi ka bharosa nahin hai,
naar-e-dozakh se Khud ko bachalo
zindagi ka bharosa nahin hai

chaandni chaar din ki hai logo
yeh jawaani bhi faani hai sunlo
aakhirat apni achchhi banalo
zindagi ka bharosa nahin hai

aaj hi apne rab ko manalo,
zindagi ka bharosa nahin hai,
naar-e-dozakh se Khud ko bachalo
zindagi ka bharosa nahin hai

qabr men jaa ke rona padeega
Khaak par tum ko sona padega
maut se Pehle Khud ko sambhaalo
zindagi ka bharosa nahin hai

chaahiye gar nabi ki shafaa’at
mat karo phir nabi ki ihaanat
un-ki ulfat dilon men basalo
zindagi ka bharosa nahin hai

Naat-Khwaan:
hazrat Azmat Raza Bhagalpuri